Friday, January 28, 2011

बेदर्दी बालमा



Song: Bedardi baalma tujh ko
Movie: Aarzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan


bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai

kabhi hum saath guzare jin sajili rehguzaaro se
fizaa ke bhes mein girte hai ab patte chanaaro se
yeh raahen yaad karti hai yeh gulshan yaad karta hai

koyi jhonkha hawaa ka jab meraa aanchal udaata hai
gumaan hotaa hai jaise tu mera daaman hilaata hai
kabhi chooma tha jo toone woh daaman yaad karta hai

wohi hai jheel ke mandar woh hi kirno ki barsaate
jahaan hum tum kiya karte thhe pehron pyaar ki baatein
tujhe is jheel ka khaamosh darpan yaad kartaa hai
----------------------------------------------------------------------

O heartless beloved, my heart thinks of you
The tears that flow from my eyes brood over you

On the paths that we moved on once upon a time
Maple leaves are falling now, feigning autumn
Those paths remember you, and so does this garden

Whenever a gust of wind makes my clothes flutter
I feel you are shaking the end of my 'dupatta'
The 'dupatta' that you had kissed has memories of you

The celestial tree by the lake is the same, and so are the cascades of rays
Where we used to confabulate about love for long
The silent mirror of this lake  has remembrances of you

No comments:

Post a Comment