Friday, February 18, 2011

में निगाहें तेरे चेहरे से हटाऊँ कैसे



Actors: Dharmendra, Supriya Choudhury

Song: Main nigaahen tere chehre se
Movie: Aap Ki Parchhaayiyaan (1964)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: Madan Mohan


main nigaahen tere chehre se hataaoon kaise
lut gaye hosh to phir hosh mein aaoon kaise

chhaa rahi thhi teri mehki hui zulfon ki ghata
teri aankhon ne
teri aankhon ne pilaadi to main peeta hi gaya
tauba tauba... tauba tauba...
tauba tauba woh nasha hai ke bataaoon kaise

meri aankhon mein gile shikve hai aur pyaar bhi hai
aarzoo yeh...
aarzoo yeh bhi hai aur hasrat-e-deedaar bhi hai
itne toofaan... toofaan...
itne toofaan main aankhon main chhupaaoon kaise

shokh nazre yeh sharaarat se naa baaz aayegi
kabhi roothegi
kabhi roothegi kabhi milke palat jaayegi
tujh se nibh jaayegi... nibh jaayegi...
tujh se nibh jaayegi main inse nibhaaoon kaise
__________________________________________________

How can I take my eyes off your face?
I've been robbed of my sensibility
Then how do I get back to my senses?

The fragrant clouds of your tresses were looming
Your eyes did...
Your eyes made me drink, so I went on drinking
Heaven forbid,, heaven forbid..
Heaven forbid, what shall I say about that stupor?

There are grievances in my eyes, and love as well
This desire...
This desire remains, as well as the wish to meet you
So many hurricanes...
So many hurricanes, how do I conceal them in my eyes?

Your attractive glances will never let go their mischief
Sometimes dour...
Sometimes dour, sometimes turning away upon meeting
I can get along with you...
I can get along with you, but how do I manage them?

Wednesday, February 16, 2011

यूँ तो हम ने लाक हसीं देखे हैं



Song: Yun to hum ne lakh haseen dekhe hain
Movie: Tum sa nahi dekha (1957)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: OP Nayyar


Yun to hum ne laakh haseen dekhe hain
Tumsa nahi dekha
Ho tumsa nahi dekha
Uff ye nazar uff ye ada
Kaun na ab hoga fida
Zulfein hain ya badaliyaan
Ankhein hain ya bijliyaan
Jaane kis kiski aayegi saza

Tum bhi haseen rut bhi haseen
Aaj ye dil bas mein nahi
Raaste khamosh hain
Dhadkane madhosh hain
Piye bin aaj hamein chadha hai nasha

Tum na agar bologe sanam
Mar to nahi jaayenge hum
Kya pari ya hoor ho itne kyun magroor ho
Maan ke to dekho kabhi kisi ka kaha
------------------------------------------------------------------

Though I've seen lakhs of beauties
Never saw one like you,
Yes, never saw one like you!
Oh this gaze! Oh this grace!
Who won't get floored in adoration?
Are these tresses or dark clouds,
Are these eyes or sparks of lightning?
Wonder who all are going to die

You look alluring, so does this season
Today my heart is not in my control
The streets are reticent
My heartbeats are intoxicated
Without sipping a drop I've become inebriated

If you don't say a word, darling,
Don't think I'm going to die
Are you a fairy or a nymph? Why so much pride?
Listen to others once in a while

चलो इक बार फिर से, अजनबी बन जाए



Song: Chalo ik baar phir se
Movie: Gumraah (1963)
Singer: Mahendra Kapoor
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Ravi


chalo ik baar phir se, ajnabi ban jaaye hum dono

na main tumse koi ummeed rakhoon dilnawaazi ki,
na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se
na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein,
na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazron se

tumhe bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se,
mujhe bhi log kahte hai ki ye jalwe paraaye hai
mere humraah bhi rusvaaiyaan hai mere maazi ki,
tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hai

taarruf rog ho jaaye to usko bhoolna behtar,
taalluk bojh ban jaaye to usko todna achha
woh afsana jise anjaam tak laana na ho mumkin,
use ek khoobsurat mod dekar chhodna acha
--------------------------------------------------------------------

Come on, once again let the both of us become strangers

I shall not any longer hold expectations of favours from you
Nor shall you look at me with eyes filled with wrong intentions
My heartbeat shall not hereafter falter with my words
Nor shall the secret of your grief be evident in your glances

Some perplexity stops you too out of hesitation
People tell me too that this beauty belongs elsewhere
My companions too are the disgraces of my past
You have with you too the shadows of the bygone nights

When acquaintance becomes a malady, it's better to forget it
When attachment becomes a burden, it's better to shatter it
When taking the saga to its final destination is impossible,
It's better to grant it a lovely twist and to leave the matter alone

Tuesday, February 15, 2011

जलते हैं जिसके लिए



Song: Jalte hain jis ke liye
Movie: Sujatha (1959)
Singer: Talat Mehmood
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: SD Burman


Jalte hain jiske liye, teri aakhon ke diye,
Dhoond laya hoon wohi geet main tere liye

Dard ban ke jo mere dil mein raha dhal na saka
Jadu ban ke teri aankhon mein ruka chal na saka
Aaj laya hun wohi geet main tere liye

Dil main rakh lena ise haathon se ye chhoote na kahin,
Geet naazuk hai mera sheeshe se bhi toote na kahin
Gungunaaoonga yehi geet main tere liye

Jab talak na yeh tere ras ke bhare honton se mile,
Yunhi aawara phirega yeh teri zulfon ke tale
Gaaye jaaoonga yehi geet main tere liye
------------------------------
-------------------------------------------
That which the lamps of your eyes are burning for,
I've sought out for you that very same song

The one which lived in my heart as a pang, which never vanished;
Like magic it settled in your eyes, it couldn't move on
I've brought for you today the very same song

Keep it in your heart, don't let it slip away,
My song is more fragile than glass, let it not get shattered
I shall hum for you this very same song

Until and unless it meets your nectar filled lips,
It will wander about like a tramp beneath your tresses
T shall keep on singing for you this very same song

Sunday, February 13, 2011

पल पल दिल के पास तुम रहती हो



Song: Pal pal dil ke paas tum rahti ho
Movie: Blackmail (1973)
Singer: Kishore Kumar
Lyrics: Rajendra Krishan
Music: Kalyanji Anandji


Pal pal dil ke paas tum rahti ho
Jeevan meethi pyaas yeh kehti ho

Har shaam aankhon par
Tera aanchal lehraye
Har raat yaadon ki
Baarat le aaye
Main saans leta hoon
Teri khushboo aati hain
Ik mehka mehka sa
Paigham laati hain
Meri dil ki dhadkan bhi
Tere geet gaati hain

Kal tujhko dekha thha
Maine apne aangan mein
Jaise kah rahi thhi tum
Mujhe baandh lo bandhan mein
Yeh kaisa rishta hain
Yeh kaise sapne hain
Begaane hokar bhi
Kyon lagte apne hain
Main soch mein rahta hoon
Dar dar ke kahta hoon

Tum sochogi kyon itna
Main tumse pyaar karoon
Tum samjhogi deewana
Main bhi iqraar karoon
Deewaanon ki yeh baatein
Deewane jaante hain
Jalne mein kya mazaa hain
Parwaane jaante hain
Tum yun hi jalaate rahna
Aa aakar khwaabon mein
---------------------------------------------------------

Moment by moment you dwell
Close to my heart
Life is a sweet thirst, you say so

Every evening, over my eyes
Your veil flutters
Every night it begins to
Bring in a procession of memories
With every breath of mine,
Your fragrance comes in
Bringing with it
A message filled with perfume
Even a heartbeat of mine
Sings a song about you

Last night I had a glimpse
Of you in my courtyard
As if you were asking me
To bind you in a relationship
What kind of relationship is this?
What kind of dreams are these?
Even when they seem to be alien,
Why do I feel they are my own?
I'm deeply in thought
I'm saying so apprehensively

Why do you think so much
About my love for you
You sense that I'm rabid
And I do accept that
Only one mad lover
Can understand another
What fun is it in burning?
Only moths would know that
You do keep on making me burn,
By appearing in my dreams

हमें तुमसे प्यार कितना



Song: Humein tumse pyaar kitna
Movie: Kudrat (1981)
Singer: Kishore Kumar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: RD Burman


Humein Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahin Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhaare Bina

Suna Gham Judaai Ka Uthaate Hai Log
Jaane Zindagi Kaise Bitaate Hai Log
Din Bhi Yahaan To Lage Baras Ke Samaan
Hume Intezaar Kitna Yeh Hum Nahin Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhaare Bina

Tumhe Koyi Aur Dekhe To Jalta Hai Dil
Badi Mushkilon Se Phir Sambhalta Hai Dil
Kya Kya Jatan Karte Hai Tumhe Kya Patha
Yeh Dil Beqraar Kitna Yeh Hum Nahin Jaante
Magar Jee Nahin Sakte Tumhaare Bina
--------------------------------------------------------------------
You have no idea as to how much I love you,
Got to say I can't live without you

I've heard of people bearing the grief of separation
I wonder how those people spend their lives
Each day here seems like a year
You have no idea as to how much i wait for you
Got to say I can't live without you

If someone else looks at you, my heart begins to burn
With great difficulty I get to control my heart
Do you know how much effort goes into that?
You have no idea as to how restless my heart is,
Got to say I can't live without you

आप यूँ ही अगर हम से मिलते रहे



Song: Aap yun hi agar hum se milte rahe
Movie: Ek musafir ek haseena (1962)
Singers: Mohd. Rafi & Asha Bhosle
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: OP Nayyar


He: Aap Yun Hi Agar Hum Se Milte Rahe,
Dekhiye Ek Din Pyaar Ho Jaayega,
She: Aisi Baaten Na Kar O Haseen Jadugar,
Mera Dil Teri Aankhon Mein Kho Jaayega..

He: Peeche Peeche Mere Aap Aati Hai Kyon,
Meri Raahon Mein Aakhen Bichaati Hai Kyon,
Aap Aati Hai Kyon..
She: Kya Kahun Aap Se Yeh Bhi Ek Raaz Hai..
Ek Din Iska Izhaar Ho Jaayega..

He: Kaisi Jaadugari Ki Aare Jaadugar,
Tere Chehere Se Hatthi Nahin Yeh Nazar..
Hai..Meri Yeh Nazar..
She: Aisi Nazaron Se Dekha Agar Aap Ne
Sharam Se Rang Gulnaar Ho Jaayega..

He: Mein Mohobbat Ki Raahon Se Anjaan Hun,
Kya Kahun Kya Karun Mein Pareshan Hun..,
Hai... Pareshan Hun..
She: Aap Ki Yeh Pareshaaniyan Dekh Kar,
Mera Dil Bhi Pareshan Ho Jaayega..

---------------------------------------------------------------------

He: If you keep on meeting me like this
One day it's going to turn into love
She: Don't say such things, o handsome wizard,
My heart will get lost in your eyes

He: Why do you keep following me?
Why have you set your eyes on my paths?
She: What shall I tell you, this is a secret,
One day it shall be disclosed

He: What magic have you done, o enchantress
That I can't take my eyes off your face?
She: If you view me in such a manner
Out of coyness, I shall turn crimson

He: I'm unfamiliar with the ways of love,
What shall I say, what do I do, I'm distraught
She: After seeing such an affliction in you,
My heart will also become distressed

Friday, February 11, 2011

मेरे महबूब तुझे मेरे मोहब्बत की कसम



Song: Mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
Movie: Mere Mehboob (1963)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music: Naushad



mere mehboob tujhe meri mohabbat ki kasam
phir mujhe nargisi aankhon ka sahaara de de
mera khoya hua rangeen nazaara de de

ae mere khwaab ki taabir meri jaan-e-ghazal
zindagi meri tujhe yaad kiye jaati hai
raat din mujhko sataata hai tassavur tera
dil ki dhadkan tujhe aawaaz diye jaati hai
aa mujhe apni sadaaon ka sahaara de de
mera khoya hua rangeen nazaara de de

bhool sakti nahin aankhen woh suhaana manzar
jab tera husn mere ishq se takraaya thha
aur phir raah mein bikhre thhe hazaaron naghme
main woh naghme teri aawaaz ko de aaya thha
saaz-e-dil ko unhi geeton ka sahaara de de
mera khoya hua rangeen nazaara de de

yaad hai mujhko meri umr ki pehli woh ghadi
teri aankhon se koi jaam piya thha maine
meri rag-rag mein koyi barq si lehraayi thhi
jab tere marmari haathon ko chhua thha maine
aa mujhe phir unhi haathon kaa sahaara de de
mera khoya huaa rangeen nazaara de de

maine ek baar teri ek jhalak dekhi hai
meri hasrat hai ke mein phir tera deedaar karoon
tere saaye ko samajh kar main haseen taj mahal
chandni raat mein nazron se tujhe pyaar karoon
apni mehki hui zulfon ka sahaara de de
mera khoya hua rangeen nazaara de de

dhoondta hoon tujhe har raah mein har mehfil mein
thak gaye hai meri majhboor tamanna ki kadam
aaj ka din meri ummeed ki hai aakhri din
kal na jaane main kahaan aur kahaan tu ho sanam
do ghadi apni nigahon ka sahaara de de
mera khoya hua rangeen nazaara de de

saamne aa ke zara parda utha de rukh se
ek yahi mera ilaaj-e-gham-e-tanhaayi hai
teri furqat ne pareshaan kiya hai mujhko
ab to mil ja ke meri jaan pe ban aayi hai
dil ko bhooli hui yaadon ka sahaara de de
mera khoyaa hua rangeen nazaaraa de de
-------------------------------------------------------------------------
Sweetheart, swear in the name of my love,
Please give me the support of your flower-like eyes,
Please grant me the colourful vision that I lost

O meaning of my dreams, the ghazal of my life,
My existence keeps on thinking of you
Day and night thoughts of you pester me
My heartbeats invariably call out to you
Please give me the support of your voice,
Please grant me the colourful vision that I lost

My eyes will never forget that enchanting scene
When your beauty had collided with my love
And then on the path were strewn thousands of melodies
I had gifted all those melodies to your voice
Please give the support of those melodies to the music of my heart
Please grant me the colourful vision that I lost

I recall the first moments in my life
When I had sipped a cup of wine from your eyes
In my every vein, there were flashes of lightning
When I had touched your velvety hands
Please give me the support of those hands
Please grant me the colourful vision that I lost

Having had a short glimpse of you once,
My wish is to behold you once again
Mistaking your shadow for the beauteous Taj Mahal,
I've been loving you with my eyes on moonlit nights
Please give me the support of your fragrant tresses,
Please grant me the colourful vision that I lost

I've been searching for you in every path, in every gathering
The helpless feet of my desire have become exhausted
Today is the last day of my expectations
Who knows tomorrow where I'm and where you're, beloved?
Please give me the support of your gazes for a couple of moments
Please grant me the colourful vision that I lost

Please come before me and unveil your face
This is the only cure for the sad loneliness of mine
Being parted from is you has made me frustrated
Do meet me now, as this has taken a heavy toll on my life
Please give my heart the support of forgotten memories
Please grant me the colourful vision that I lost

जब दिल से दिल थक्राथा हैं



Song: Jab dil se dil thakraatha hain
Movie: Sangharsh (1968)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music: Naushad



Jab dil se dil thakraatha hain
Mat poochhiye, kya ho jaata hain,
Jhukti hain nazar, rukti hain zubaan,
Maathe pe paseena aata hain

Dekha thha tujhe ik baar kahin,
Us din se abhi tak hosh nahin,
Phir ishq ne karwat badli hain,
Phir saamne tu hain mahjabeen,
Ab dekhiye kya kya rang naye,
Deedar tera dikhlaata hain

Yeh husn sharaabi mehka badan,
Aur us pe tera ye bholapan,
Teri bhi ummeedein jaagi hain,
Kehti hain tere dil ki dhadkan,
Betaab hain tu bhi, mere liye,
Andaaz tera batlata hain

Mukhda na chhupa yoon haathon se,
Din ko na badal ab raaton se,
Gulshan mein bikharne de nagme,
Tu pyaar ki meethi baaton se,
Ae husn ki devi, aankh mila,
Apnon se koi sharmaata hai?
--------------------------------------------------------------------------

When heart collides with heart
Don't ask what is the outcome
Gazes drop, speech comes to a stop,
The forehead gets covered with sweat

I've seen you once somewhere,
Ever since then I've no consciousness
Then love changed sides,
And here you are before me, appearing strong
Now wait and watch what all new colours
The sight of you brings up

What an intoxicating beauty, fragrant body,
On top of that, this innocence!
Your expectations have also woken up
Your heartbeat confirms the fact
You are also restless for me,
Your demeanour does say that

Don't cover your face with your hands,
Don't thus turn days into nights,
Make melodies scatter all over the garden
With your sweet words of love
O goddess of beauty, look into my eyes,
Does one remain bashful before one's own?

अंखियों के झरोखों से



Song: Akhiyon ke jharokon se
Movie: Akhiyon ke jharoke se (1978)
Singer: Hemalatha
Lyrics: Ravindra Jain
Music: Ravindra Jain



Ankhiyon Ke Jharokhon Se Maine Dekha Jo Saanware
Tum Door Nazar Aaye Badi Door Nazar Aaye
Band Karke Jharokhon Ko Zara Baithee Jo Sochne
Man Mein Tumhi Muskaye Man Mein Tumhi Muskaye

Ek Man Tha Mere Paas Woh Ab Khone Laga Hai
Paakar Tujhe Haaye Mujhe Kuchh Hone Laga Hai
Ek Tere Bharose Pe Sab Baithee Hoon Bhool Ke
Yoon Hi Umar Guzar Jaye Tere Saath Guzar Jaye

Jeeti Hoon Tujhe Dekh Ke Marti Hoon Tumhi Pe
Tum Ho Jahan Saajan Meri Duniya Hai Wahin Pe
Din Raat Dua Maange Mera Man Tere Waaste
Kabhi Apni Ummeedon Ka Kahin Phool Na Murjhaye

Main Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon
Jagte Hue Soi Rahin Neendon Mein Jagi Hoon
Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le
Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye

------------------------------
----------------------------------------------------
കണ്ണുകള്‍ തന്‍ ജാലകത്തിലൂടെ നോക്കിയപ്പോള്‍
നിന്നെ ദൂരെ കണ്ടു, വളരെ ദൂരെ കണ്ടു..
ജാലകമടച്ചിട്ടു ചിന്തിക്കാനൊരുങ്ങിയപ്പോള്‍
മനസ്സില്‍ നിന്‍ മന്ദസ്മിതം ദര്‍ശിച്ചു

ഒരു മനസ്സുണ്ടായിരുന്നു എന്‍റെ കൂടെ
അതിപ്പോള്‍ നഷ്ടപ്പെടാന്‍ തുടങ്ങി
നിന്നെ കിട്ടിയത് മുതല്‍
എനിക്കെന്തൊക്കെയോ സംഭവിച്ചത് പോലെ
നിന്നെ മാത്രം വിശ്വസിച്ചു എല്ലാം മറന്നു
ഞാനിവിടെ കഴിയുന്നു
ആയുസ്സ് അങ്ങനെ തീർന്നുകൊണ്ടിരിക്കുന്നു,
നിന്റെ കൂടെ തീർന്നുകൊണ്ടിരിക്കുന്നു...

ജീവിക്കുന്നത് നിന്നെ കണ്ടുകൊണ്ട്
മരിക്കുന്നതും നിന്നെയോര്‍ത്ത് കൊണ്ട്
പ്രിയതമാ, നീയെവിടെയാണോ
എന്‍റെ ലോകം അവിടെ തന്നെ
രാവും പകലും എന്‍റെ മനസ്സ്
നിനക്ക് വേണ്ടി പ്രാർത്ഥിക്കുന്നു
എന്‍റെ പ്രതീക്ഷകളുടെ പൂക്കള്‍
വാടിക്കരിയാതിരിക്കാന്‍

ഞാൻ നിൻ പ്രണയത്തിൻ നിറങ്ങൾ
അണിയാൻ തുടങ്ങിയതു മുതൽ
ഉണർന്നിരിക്കുമ്പോൾ ഉറങ്ങി,
ഉറക്കത്തിൽ ഉണർന്നിരുന്നു!
എന്റെ സ്നേഹം നിറഞ്ഞ സ്വപ്നങ്ങൾ
ആരും തട്ടിപ്പറിക്കാതിരിക്കട്ടെ
ഇതോർത്ത് മനസ്സ് ഭയക്കുന്നു,
ഇതു തന്നെയോർത്ത് മനസ്സ് ഭയക്കുന്നു

तुम मुझे यूँ भुला न पाओगे



Song: Tum mujhe yun bhula na paaoge
Movie: Pagla kahin ka (1970)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan



Tum mujhe yun bhula na paaoge
Haan, tum mujhe yun bhula na paaoge
Jab kabhi bhi sunoge geet mere
Sang sang tum bhi gungunaaoge

Woh bahaare woh chandni raatein
Humne ki thhi jo pyaar ki baaten
Un nazaaron ki yaad aayegi
Jab khayaalon mein mujhko laaoge

Mere haathon mein tera chehra thha
Jaise koi gulaab hota hai
Aur sahaara liya tha baahon ka
Woh sama kis tarah bhulaaoge

Mujhko dekhe bina qaraar na thha
Ek aisa bhi daur guzra hai
Jhooth mano to poochlo dil se
Main kahoonga to rooth jaaoge
--------------------------------------------------------------------------------------

You won't be able to forget me,
Yes, you won't be able to forget me,
Whenever you lend an ear to my song
And you'll start humming along with it

Those spring seasons, those moonlit nights,
The love-filled talks that we had
Will become fresh in your memory
When you bring me into your thoughts

I held your face in my hands
As if it were a rose
And you took the support of my arms..
How will you forget that ambience?

You had no peace of mind without seeing me,
There was a phase like that
If you think I'm lying, just ask your heart,
For if I say it, you might turn away from me

Wednesday, February 9, 2011

पाँव छू लेने दो



Song: Paav chhoo lene do
Movie: Taj Mahal (1963)
Singers: Mohd. Rafi & Lata Mangeshkar
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Roshan


Ra: Paav chhoo lene do phoolon ko inaayat hogi, inaayat hogi
Varna hum ko nahi, inko bhi shikaayat hogi, shikaayat hogi

La: Aap jo phool bichhaaye unhe hum thukraaye
Hum ko dar hain...
Hum ko dar hain ke yeh tauheen-e-muhabbat hogi,
Muhabbat hogi

Ra: Dil ki bechayn umangon pe karam farmaao
Itna ruk ruk...
Itna ruk ruk ke chalogi to qayaamat hogi, qayaamat hogi
Qayamat hogi

La: Sharm roke hain idhar, shauk udhar kheenche hain
Kya khabhar thhi...
Kya khabar thhi is dil ki yeh haalat hogi
Yeh haalat hogi

Ra: Sharm gairon se hua karti hain apnon se nahi
Sharm hum se....
Sharm hum se bhi karoge to museebat hogi
Museebat hogi
---------------------------------------------------------------------------------
Rafi:
Let your feet touch these flowers,
So that they know the acceptance of love
Else, not me, they will have complaints against you

Lata:
I rejected the flowers you spread all over the place
I fear that it would be a gross affront to your love

Rafi:
Please have mercy on the craving emotions of the heart
If you walk in such a slow enticing manner,
It'll be a day of judgement

Lata:
On one hand my coyness stops me, on the other,
I get pulled over by passion
Who knew that this would be the state of the heart!

Rafi:
Shyness is normally with strangers, but not with your own ones
If you express bashfulness before me, it'll be terrible

इस रंग बदलती दुनिया में



Song: Is rang badalti duniya mein
Movie: Rajkumar (1964)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan


Is rang badalti duniya mein
Insaan ki neeyat theek nahi
Nikla na karo tum saj dhajkar
Imaan ki neeyat theek nahi

Yeh dil hain bada hi diwaana
Chheda na karo is paagal ko
Tum se na shararat kar baithe
Naadaan ki neeyat theek nahi

Kaandhe se hata lo sar apna
Yeh pyaar mohabbat rahne do
Kashti ko sambhaalo maujon se
Toofaan ki neeyat theek nahi

Main kaise khuda hafiz kah doo
Mujhko to kisi ka yakeen nahi
Chhup jaao humaari aankhon mein
Bhagawan ki neeyat theek nahi
------------------------------------------------------

In this world that changes hues
The intentions of humans are not right
Don't go out all dressed up and adorned
The intentions of faith are not right

This heart of mine is hugely rabid
Do not disturb this mad one
Else it might do some mischief
The intentions of this senseless one is not right

Take your head off my shoulders
Let this so-called love be in its place
Protect your canoe from the waves
The intentions of the hurricane are not right

How can I bid you adieu
As I'm not convinced about anyone
Hide inside my eyes, for
The intentions of the Almighty are not right

आप को प्यार छुपाने की बुरी आदत है



Song: Aap ko pyaar chhupaane ki buri aadat hain
Movie: Neela Aakash (1965)
Singers: Mohd. Rafi, Asha Bhosle
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: Madan Mohan


R: Aap ko pyaar chhupaane
Ki buri aadat hain
A: Aap ko pyaar jathaane
Ki buri aadat hain

A: Aap ne seekha hain kya
Dil ke lagaane ke siva
R: Aap ko aata hain kya
Naaz dikhaane ke siva
Aur humein naaz uthaane
Ki buri aadat hain

R: Kis liye aap ne
Sharmaa ke jhuka li aankhen
A: Is liye aap se ghabra ke
Bacha li aankhen
Aap ko teer chalaane
Ki buri aadat hain

A: Ho chuki der bas ab
Jaayiyega, jaayiyega
R: Banda parwar zara
Thhoda sa kareeb aayiyega
Aap ko paas na aane
Ki buri aadat hain
-------------------------------------------------------------------------------

R: You have the bad habit
Of concealing love
A: You have the bad habit
Of expressing love

A: What have you learnt,
Other than capturing hearts?
R: What are you capable of,
Other than putting on airs?
And I've the bad habit
Of enduring such airs

R: Why have you shyly
Dropped down your eyes?
A: It's because out of fear
I saved them from your glances
As you have the bad habit
Of shooting arrows

A: Now that it has got late
Please do leave, do leave
R: Oh my Almighty, please
Be a little near to me
You do have the bad habit
Of not coming closer

मेरे महबूब न जा




Song: Mere mehboob na ja
Movie: Noor Mahal
Singer: Suman Kalyanpur
Lyrics: Saba Afghani
Music: Jaani Babu Qawwal


mere mehboob na ja
aaj ki raat na ja
hone waali hain seher
thodi der aur theher

dekh kitna haseen mausam hai
har taraf ik ajeeb aalam hai
jalwe is tarha aaj nikhre hain
jaise taare zameen pe bikhre hain
jaise taare zameen pe bikhre hain

maine kaate hain intzaar ke din
tab kahin aaye hain bahaar ke din
yoon na ja dil ki shamma gul kar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke

jab se zulfon ki chhaav paayi hai
beqaraari ko neend aayi hai
is tarah mat ja yoon hi sone de
raat dhalne de subah hone de
raat dhalne de subah hone de

is tarah pher kar nazar mujh se
door jaayega tu agar mujhse
chaandni se bhi aag barsegi
shamma bhi roshni ko tarsegi
shamma bhi roshni ko tarsegi

----------------------------------------------------------------------------

O beloved, please do not go
In this night please do not go
It'll be dawn pretty soon,
Hence dearest, tarry awhile

Look, what a lovely season it is
There's a bizarre charm all around
Today is embellished with
Stars strewn all over the ground

I've spent days in anticipation
Finally the days of spring came by
Do not go away blotting out the flame in my heart
I haven't yet beheld you to my heart's content

Ever since you got the shade of my tresses
Your disquietude has had some slumber
Don't leave in this fashion, let sleeping things sleep
Let the night get over, let the morn fall in

If you turn your eyes away from me in this way
And distance yourself from me
Fire will emanate from the moonlight
Expunged lamps will begin pining for effulgence

अजी रूठ कर अब कहाँ जाईयेगा



Song: Aji rooth kar ab kahan jaayiyega
Movie: Aarzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan


aji rooth kar ab kahaan jaaiyega
jahaan jaaiyega humein paaiyega

nigaahon se chhupkar dikhaao to jaane
khayaalon men bhi tum na aao to jaane
aji laakh parda men chhup jaaiyega
nazar aaiyega nazar aaiyega

jo dil men hain hothon pe laana bhi mushkil
magar us ko dil men chhupaana bhi mushkil
nazar ki zubaan phir samajh jaaiyega
samajh kar zara gaur farmaaiyega

--------------------------------------------------------------
Breaking away from me, where will you go?
Wherever you'll go, you'll inevitably find me there

If you hide from my eyes, I become aware
If you don't appear in my thoughts, I sense it
You may hide behind oodles of screens
Yet you'll be conspicuous to me

It's hard to bring what's in the heart on to the lips
But it's also hard to conceal it within the heart
You may fathom the language of the eyes
Having done that, please express a wee bit of care

तेरे हुस्न की क्या तारीफ़



Song: Tere husn ki kya taareef karoon
Movie: Leader (1964)
Singers: Mohd. Rafi & Lata Mangeshkar
Lyrics: Shakeel Badayuni
Music: Naushad


Rafi:
Tere husn ki kya taareef karoon
Kuch kahte huey bhi darta hoon
Kahi bhool se tu na samajh baithe
Ki main tujh se mohabbat karta hoon

Lata:
Mere dil mein kasak si hoti hain
Teri raah se jab main guzarti hoon
Is baat se yeh na samajh lena
Ke main tujh se mohabbat karti hoon

Rafi:
Teri baaton mein geeton ki sargam
Teri chaal mein paayal ki chham chham
Koi dekh le tujh ko ek nazar
Mar jaaye teri aankhon ki kasam
Main bhi hoon ajab ik deewana
Marta hoon na aahen bharta hoon
Kahi bhool se tu na samajh baithe
Ki main tujh se mohabbat karta hoon

Lata:
Mere saamne jab tu aata hain
Jee dhak se mera ho jaata hain
Leti hain tamanna angdaayi
Dil jaane kahaan kho jaata hain
Mahsoos yeh hota hain mujh ko
Jaise main tera dum bharti hoon
Is baat se yeh na samajh lena
Ke main tujh se mohabbat karti hoon

----------------------------------------------------------

Rafi:
What shall I say extolling your beauty
I fear mentioning anything about it,
In case you get the erroneous feeling
That I happen to be in love with you

Lata:
There are flutters in my heart
When I walk along your path
But from this, don't ever conclude
That I happen to be in love with you

Rafi:
Your talk is filled with musical jingles
Your walk, with the resonance of trinkets
If someone spares a glance at you
He'll die for you, I swear by your eyes!
I'm a strange kind of a mad admirer,
I neither die nor give up a sigh
However, don't ever think that
I happen to be in love with you

Lata:
Whenever you are before me
My heart goes about beating faster
The desires take a twirl
The heart gets lost somewhere
I keep on feeling that
I'm filling you with lifeblood
However, don't ever sense that
I happen to be in love with you

Sunday, February 6, 2011

दिल ऐसा किसी ने



Song: Dil aisa kisi ne mera thoda
Movie: Amanush (1975)
Singer: Kishore Kumar
Lyrics: Indivar
Music: Shyamal Mitra

Dil aisa kisi ne mera thoda
Barbaadi ki taraf aisa moda
Ek bhale maanush ko
Amaanush bana ke chhoda

Saagar kina mere paas hain
Mere jeevan mein phir bhi pyaas hain
Hain pyaas badi jeevan thoda
Amaanush bana ke chhoda

Kahte hain yeh duniya ke raaste
Koi manzil nahi tere vaaste
Naakaamiyon se naata mera joda
Amaanush bana ke chhoda

Dooba sooraj phir se nikle
Rahta nahi hain andhera
Mera sooraj aisa rootha
Dekha na maine sawere
Ujaalon ne saath mera chhoda
Amaanush bana ke chhoda
--------------------------------------------

My heart was shattered by someone
In such a way it directed me to self-destruction
A decent human being,
I 've been turned into an inhuman

The ocean is so close to me,
Yet there's a thirst in my life
This thirst is immense, and life so short,
I 've been turned into an inhuman

The paths of this world say that
There is nothing destined for you
I developed relations with failures
I 've been turned into an inhuman

The setting sun has risen again
There's no longer any darkness
But my sun is so upset with me that
I haven't seen the morning
The light has forsaken me
I 've been turned into an inhuman

Friday, January 28, 2011

मुझे तुम से कुछ


Song: Mujhe tum se kuchh bhi na chaahiye
Movie: Kanhaiya (1959)
Singer: Mukesh
Lyrics: Shailendra
Music: Shankar Jaikishan


Mujhe tum se kuchh bhi na chaahiye
Mujhe mere haal pe chhod do (2),
Mera dil agar koi dil nahi
Use mere saamne tod do (2)

Main yeh bhool jaaoonga zindagi
Kabhi muskuraayi thhi pyaar mein
Main yeh bhool jaaoonga mera dil
Kabhi khil utha thha bahaar mein

Jinhe is jahaan ne bhula diya
Mera naam un mein hi jod do (2)

Tumhein apna kahne ki chaah mein
Kabhi ho sake na kisi ke hum
Yahi dard mere jigar mein hain
Mujhe maar daalega bas yeh gham

Main woh gul hoon jo na khila kabhi
Mujhe na kyun na shaakh se tod do (2)

---------------------------------------------------------
I don't need anything from you
Just leave me to my misery
If my heart's not a heart,
Destroy it before my very eyes

O life, I shall forget that
Some time I had smiled in love
I shall forget, o my heart
That once I had blossomed in spring

As for those who got forgotten by this world
Append my name to that miserable lot

In the desire to call you my own
I could never belong to anybody else
This biting pain stays in my heart
This heartache will end my life

I'm that bud that never bloomed
Why not pluck it off the branch?

बेदर्दी बालमा



Song: Bedardi baalma tujh ko
Movie: Aarzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan


bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai

kabhi hum saath guzare jin sajili rehguzaaro se
fizaa ke bhes mein girte hai ab patte chanaaro se
yeh raahen yaad karti hai yeh gulshan yaad karta hai

koyi jhonkha hawaa ka jab meraa aanchal udaata hai
gumaan hotaa hai jaise tu mera daaman hilaata hai
kabhi chooma tha jo toone woh daaman yaad karta hai

wohi hai jheel ke mandar woh hi kirno ki barsaate
jahaan hum tum kiya karte thhe pehron pyaar ki baatein
tujhe is jheel ka khaamosh darpan yaad kartaa hai
----------------------------------------------------------------------

O heartless beloved, my heart thinks of you
The tears that flow from my eyes brood over you

On the paths that we moved on once upon a time
Maple leaves are falling now, feigning autumn
Those paths remember you, and so does this garden

Whenever a gust of wind makes my clothes flutter
I feel you are shaking the end of my 'dupatta'
The 'dupatta' that you had kissed has memories of you

The celestial tree by the lake is the same, and so are the cascades of rays
Where we used to confabulate about love for long
The silent mirror of this lake  has remembrances of you

Thursday, January 27, 2011

मौसम हे अशीकाना



Song: Mausam hain aashiqana
Movie: Pakeezah (1972)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Kamal Amrohi
Music: Ghulam Mohammed



Mausam Hain Aashiqana
Aye Dil, Kahee Se Unko
Aise Mein Dhoondh Laanaa

Kahna Ke Rut Jawaa Hai,
Aaur Hum Taras Rahe Hain
Kaalee Ghataa Ke Saaye,
Birahan Ko Das Rahe Hain
Dar Hain Naa Maar Daale,
Saawan Ka Kyaa Thikaana

Sooraj Kahi Bhi Jaaye,
Tum Par Naa Dhoop Aaye
Tum Ko Pukaarte Hai,
In Gesuvon Ke Saaye
Aa Jaao Main Bana Doo,
Palakon Kaa Shaamiyaana

Firte Hain Hum Akele,
Baaho Mein Koi Lele
Aakhir Koi Kahan Tak
Tanhayiyon Se Khele
Din Ho Gaye Hain Zaalim
Raaten Hain Katilaanaa

Ye Raat Ye Khaamoshi,
Ye Khwaab Se Nazaare
Jugnoo Hain Yaa Zameen Par,
Uthre Huye Hain Taare
Bekhaab Mere Aankhen,
Madhosh Hain Zamaana
--------------------------------------------------------

The season being alluring
O my heart, in these conditions
Please bring him to me

Tell him the weather is juvenescent
And that I'm yearning
The shadows of dark clouds
Are burying their fangs in me
I fear that might take my life
Who can predict the rains?

The sun might go anywhere
Yet I wish the scorching sunlight doesn't overcome you
Calling out to you is
This shade of my tresses
Come over, let me make
A tent out of my eyelashes

I wander about all alone
Hoping someone would take me in his arms
After all, to what extent will anybody
Flirt with loneliness?
The days have become cruel
And the nights murderous

This night, this silence,
This dream, this sight -
A firefly or a star
That has landed on earth?
Dreamless are my eyes
Intoxicated is this world

कोई हमदम न रहा



Song: Koi humdum na raha
Movie: Jhumroo (1961)
Singer: Kishore Kumar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: Kishore Kumar

koi humdum na raha koi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koi humaara na raha

shaam tanhaai ki hai aayegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhaaye, wohi taara na raha

ay nazaaron na hanso mil na sakoonga tumse
tum mere ho na sake, main tumhaara na raha

kya bataaoon main kahaan yun hi chala jaata hoon
jo mujhe phir se bula le woh ishaara na raha
-----------------------------------------------------------
No soulmate exists anymore, nor does any support
I've ceased to belong to anybody
And none belong with me

In this lonesome evening
How do I attain my destination?
The one star who would show me my path
Is no longer around

O these sights, do not laugh at me
No more any rendezvous with you
You could never be mine
And I 'm no longer yours

I do not know where I am
I just keep on moving
The one who would call me back
Is no longer with me

Tuesday, January 18, 2011

नैना बर से


Song: Naina barse rim jhim rim jhim
Movie: Woh Kaun Thhi (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: Madan Mohan

naina Barse, Rim Jhim Rim Jhim
piya Tore Aawan Ki Aas

woh Din Meri Nigaahon Mein
woh Yaadein Meri Aahon Mein
yeh Dil Ab Tak Bhathakta Hai
teri Ulfat Ki Raahon Mein
sooni Sooni Raahein, Sehmi Sehmi Baahein
aankhon Mein Hain Barson Ki Pyaas

nazar Tujh Bin Machalti Hai
mohabbat Haath Malti Hai
chala Aa Mere Parwane
wafa Ki Shama Jalti Hai
o Mere Hamraahi, Phirti Hoon Ghabrayi
jahan Bhi Hai Aa Jaa Mere Paas

adhoora Hoon Main Afsana
jo Yaad Aaoon Chale Aana
mera Jo Haal Hai Tujh Bin
woh Aakar Dekhte Jaana
bheegi Bheegi Palkein, Chham Chham Aansoo Chhalkein
khoyi Khoyi Aankhen Hain Udaas

Yeh Laakhon Gham Yeh Tanhaayi
mohabbat Ki Yeh Ruswaayi
kati Aisi Kai Raatein
na Tum Aaye Na Maut Aayi
yeh Bindiya Ka Taara, Jaise Ho Angaara
mehndi Mere Haathon Ki Udaas
____________________________________________________

Tears rain from my eyes, drop by drop,
In the craving for your arrival

That day is in my sight
Those memories in my sighs
This heart has been wandering still
In the path of your love
Lonely streets, weakening arms
My eyes are filled with ages of thirst

Without you my gaze wavers
Love looks to have washed its hands off
Come by, my sweetheart,
The lamp of faith is still gleaming
O my soulmate, I wander around apprehensively
Wherever you are, come to me

I'm an incomplete story
When you remember me, come over
The state of me without you
Please appear and see for yourself
My wet eyelashes, tears dropping like pearls
The sadness in my eyes lost in your love

Oodles of sadness, and this loneliness
Together with this disgrace...
I spent a lot of nights like this
Neither you arrived nor death
The star of vermillion seemes like live coals
And the mehndi (mailaanchi) on my hands  is melancholic

हुसूर सी कदर



Song: Huzoor si kadar bhi na itraa ke chaliye
Movie: Masoom (1983)
Singer: Suresh Wadkar, Bhupinder
Lyrics: Gulzar
Music: RD Burman

huzoor is kadar bhi na itraa ke chaliye
khule aam aanchal na lehra ke chaliye

koi manchala gar pakad lega aanchal
zara sochiye aap kya keejiyega
laga de agar badh ke zulfon mein kaliyaan
to kya apni zulfein jhatak deejiyega

badi dilnasheen hai hansi ki ye ladiyaan
ye moti magar yun na bikhraya keeje
uda ke na le jaaye jhonka hawa ka
lachakta badan yun na lehraya keeje

bahut khoobsoorat hai har baat lekin
agar dil bhi hota to kya baat hoti
likhi jaati phir daastan-e-muhabbat
ek afsaane jaise mulakaat hoti
________________________________________

O highness, please don't walk with such an attitude,
Please don't stroll in such a carefree manner

If a teaser grips the corner of your 'dupatta'
Just think what you would do then
If he adorns your hair with flowers
Will you jerk them off your tresses?

How lovely is your laughter
But don't scatter these pearls thoughtlessly
For the wind might take them away with a strong gust
Take care not to sway your sensual body

Everything about you is exquisite, however
Had you a heart, how wonderful it would have been
Then a tale of love would have been written on you
A tale that would have made it a meeting with you

Monday, January 17, 2011

ओ सजना




Song: O sajna barkha bahaar aayee
Movie: Parakh (1960)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Shailendra
Music: Salil Chowdhary


o sajna, barkha bahaar aayee
ras ki phuhaar laayi, aakhiyon men pyaar laayi

tum ko pukaare mere, man ka papeehara
meethi meethi agani me, jale mora jiyara

aise rim-jhim mein o sajan
pyaase pyaase mere nayan,
tere hi khwaab men kho gaye
saanwali saloni ghata, jab jab chhaayi
aakhiyon men raina gayi, nindiya na aayi
-------------------------------------------------------------------------------------



O beloved, the lovely dripping season has arrived
Carrying juicy droplets with it, bringing love into the eyes

Calling out to you the is the cuckoo in my heart
In the sweet flame of passion my body does burn

In this downpour, sweetheart
My thirsty eyes
Have got lost in your thought
Whenever the dark pretty clouds loomed
The darkness of night from my eyes disappeared,
And sleep didn't overcome me

आ लौट के आजा


Song: Aa laut ke aaja mere meet
Movie: Rani Rupmati (1957)
Singer: Mukesh
Lyrics: Bharat Vyas
Music: S.N. Tripathi

Aa Laut Ke Aaja Mere Meet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Mera Soona Padha Re Sangeet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain

Barse Gagan Mere Barse Nayan
Dekho Tarse Hai Man Ab To Aaja
Sheetal Pavan Yeh Lagaye Agan
O Sajan Ab To Mukhada Dikha Ja
Toone Bhali Re Nibhai Preet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain

Ek Pal Hai Hasna Ek Pal Hai Rona
Kaisa Hai Jeevan Ka Khela
Ek Pal Hai Milna Ek Pal Bichhadna
Duniya Hai Do Din Ka Mela
Yeh Ghadi Na Jaye Beet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
_______________________________________________

Come, return to me, my love,
Calling out to you are my songs
My music is lying deserted
My songs are calling out to you

The sky is raining, so are my eyes,
I'm pining for you, come to me
The cool beeze is making me burn
Darling, please do show your face
Your promises of love you kept very well
My songs are calling out to you

Laughter at one moment, crying at another,
What kind is this game of life?
Meeting at one moment, separation at another,
The world is but a two days' fair
Let this moment not pass
My songs are calling out to you

Sunday, January 16, 2011

यों हज्रतों के दाग




Song: Yun hasraton ke daag
Movie: Adalat (1958)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Rajendra Krishan
Music: Madan Mohan


Yun hasraton ke daag mohabbat mein dho liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Ghar se chale they hum to khushi ki talaash mein
khushi ki talaash mein
Gam raah mein khade they wo hi saath ho liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Murjha chuka hain
Phir bhi yeh dil phool hi to hain
Haan phool hi to hain
Ab aapki khushi se kaaton mein so liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Hothon ko si chuke to zamane ne yeh kaha
Zamane ne yeh kaha
Ye chup si kyon lagi hain aji kuchh to boliye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

______________________________

The stains of desires I washed in love
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

I left my abode in my quest for happiness
In my quest for happiness
Found sadness in my path and picked it up
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

My heart has wilted, yet it's a flower
Yet it's a flower
Now it's up to you to see in terms of thorns or flowers
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

When I sealed my lips, the world began to ask
The world began to ask
Why are you so reserved, why don't you say something?
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

मन रे तू




Song: Man re tu kaahe na dheer dhare
Movie: Chithralekha (1964)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Roshan


man re tu kaahe na dheer dhare
o nirmohi moh na jaane jinka moh kare

is jeevan ki chadhti dhalti
dhoop ko kiss ne baandha
rang pe kis ne pehre daale
roop ko kis ne baandha
kaahe yeh jatan kare

utna hi upkaar samajh koi
jitna saath nibhaa de
janam maran ka mel hai sapna
yeh sapna bisraa de
koi na sang mare
------------------------------

Dear mind, why don't you assume courage?
Whom you desire is devoid of all emotions, all desires

Who has tied up the rising and receding
Sunlight of life?
Who has placed restraints on colour,
Who has shackled beauty?
Not knowing these why make the effort?

Recognise the favour of one as much as
The person is faithful to you
Dreams are a union of life and death
Hence forget these dreams
For nobody accompanies you in death

Saturday, January 15, 2011

यह कहाँ आ जाए


Song: Yeh kahan aa gaye hum
Movie: Silsila (1981)
Singers: Lata Mangeshkar (monologues by Amitabh Bachchan)
Lyrics: Javed Akhtar
Music: Shiv-Hari (Pandit Shiv Kumar Sharma & Hariprasad Chaurasia)

-AB--
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

--Lata--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

--AB--
Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pathiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

--Lata--
O tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Isi raah bhi nikal ke

O meri saans saans mahke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Koi aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte

--AB--
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kis se kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

--Lata--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
______________________________

AB (monologue)
Me and my loneliness often talk about this
If you were there, how would it have been,
You would say this, you would say that,
You would be surprised at this,
You would giggle so much at that,
If you were present, it would be like this
If you were present, it would be like that
Me and my loneliness often talk about this.....

Lata (song)
Where have we come to
Walking side by side
My life and my heart melt, o darling,
In your loving arms

AB (monologue)
This is the night, your tresses have opened up
Is it the moonlight or your gazes
Which have set up my night?
Is this the moon or your bangle
Are these the stars or your shawl
Is this a whiff of the breeze or
The fragrance of your body?
Is this a rustle of leaves, or
Have you softly said something?
I've been thinking of this silently
That I even know you're not around,
You're not around anywhere
But this heart of mine insists on saying that
You're here, somewhere here

Lata (song)
You're the body, I'm the shadow,
Without you, where would I be?
O the one who loves me,
Wherever you are, I'm there
We had to meet, beloved,
Going by the same path

My breath smells of fresh sandalwood
You love is like the moonlight,
And my heart like a courtyard (that gets the moonlight)
I wish for something mellifluous
As my evening gets to set

AB (monologue)
A forced situation exists here, and there too,
The loneliness of one night is here as well, and there too
I've lots to say, but whom do I tell that?
How long should I be silent, how long should I suffer?
The heart tells me to denounce all customs of this world
To destroy the wall that's between us
To tell the people why the heart burns....
Yes, I'm in love, I'm in love,
The same reflects here, and there as well

ज़रा सी आहत



Song: Zara si aahat hoti hain
Movie: Haqeeqat (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Kaifi Azmi
Music: Madan Mohan


zara si aahat hoti hai to dil sochta hai
kahin yeh woh to nahin (3)

chhup ke seene mein,
chhup ke seene mein koi jaise sada deta hai
shaam se pehle diya dil ka jala deta hai
hai usi ki yeh sada, hai usi ki yeh adaa
kahin yeh woh to nahin (3)

shakl phirti hai,
shakl phirti hai nigahon mein wohi pyaari si
meri nas nas mein machalne lagi chingari si
chhoo gayi jism mera, kiske daaman ki hawa
kahin yeh woh to nahin (3)
------------------------------------------------

Whenever there's a slight sound,
My heart is given to think
Couldn't this be him?

Like someone hidden places a tone in the bosom
Lights up the lamp of the heart before dusk
This tone is his, this attribute is his,
Couldn't this be him?

His face wanders in my sight lovingly
And has begun to excite in my every vein like sparks
The breeze that touched my body, whom did it come from?
Couldn't this be him?