Wednesday, February 9, 2011

मेरे महबूब न जा




Song: Mere mehboob na ja
Movie: Noor Mahal
Singer: Suman Kalyanpur
Lyrics: Saba Afghani
Music: Jaani Babu Qawwal


mere mehboob na ja
aaj ki raat na ja
hone waali hain seher
thodi der aur theher

dekh kitna haseen mausam hai
har taraf ik ajeeb aalam hai
jalwe is tarha aaj nikhre hain
jaise taare zameen pe bikhre hain
jaise taare zameen pe bikhre hain

maine kaate hain intzaar ke din
tab kahin aaye hain bahaar ke din
yoon na ja dil ki shamma gul kar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke
abhi dekha nahi hai jee bhar ke

jab se zulfon ki chhaav paayi hai
beqaraari ko neend aayi hai
is tarah mat ja yoon hi sone de
raat dhalne de subah hone de
raat dhalne de subah hone de

is tarah pher kar nazar mujh se
door jaayega tu agar mujhse
chaandni se bhi aag barsegi
shamma bhi roshni ko tarsegi
shamma bhi roshni ko tarsegi

----------------------------------------------------------------------------

O beloved, please do not go
In this night please do not go
It'll be dawn pretty soon,
Hence dearest, tarry awhile

Look, what a lovely season it is
There's a bizarre charm all around
Today is embellished with
Stars strewn all over the ground

I've spent days in anticipation
Finally the days of spring came by
Do not go away blotting out the flame in my heart
I haven't yet beheld you to my heart's content

Ever since you got the shade of my tresses
Your disquietude has had some slumber
Don't leave in this fashion, let sleeping things sleep
Let the night get over, let the morn fall in

If you turn your eyes away from me in this way
And distance yourself from me
Fire will emanate from the moonlight
Expunged lamps will begin pining for effulgence

No comments:

Post a Comment