Friday, February 11, 2011

तुम मुझे यूँ भुला न पाओगे



Song: Tum mujhe yun bhula na paaoge
Movie: Pagla kahin ka (1970)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan



Tum mujhe yun bhula na paaoge
Haan, tum mujhe yun bhula na paaoge
Jab kabhi bhi sunoge geet mere
Sang sang tum bhi gungunaaoge

Woh bahaare woh chandni raatein
Humne ki thhi jo pyaar ki baaten
Un nazaaron ki yaad aayegi
Jab khayaalon mein mujhko laaoge

Mere haathon mein tera chehra thha
Jaise koi gulaab hota hai
Aur sahaara liya tha baahon ka
Woh sama kis tarah bhulaaoge

Mujhko dekhe bina qaraar na thha
Ek aisa bhi daur guzra hai
Jhooth mano to poochlo dil se
Main kahoonga to rooth jaaoge
--------------------------------------------------------------------------------------

You won't be able to forget me,
Yes, you won't be able to forget me,
Whenever you lend an ear to my song
And you'll start humming along with it

Those spring seasons, those moonlit nights,
The love-filled talks that we had
Will become fresh in your memory
When you bring me into your thoughts

I held your face in my hands
As if it were a rose
And you took the support of my arms..
How will you forget that ambience?

You had no peace of mind without seeing me,
There was a phase like that
If you think I'm lying, just ask your heart,
For if I say it, you might turn away from me

No comments:

Post a Comment