Wednesday, April 10, 2013

Betaab dil ki tamanna yahi hain






Movie: Hanste Zakhm (1973)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Kaifi Azmi
Music: Madan Mohan


betaab dil ki tamanna yahi hain
tumhe chaahenge tumhe poojenge
tumhe apna khuda banaayenge

soone soone khwaabon mein jab tak tum na aaye thhe
khushiyaan thhi sab auron ki, gam bhi saare paraaye thhe
apne se bhi chhupaayi thhi dhadkan apne seene ki
hum ko jeena padta thha, khwaahish kab thhi jeene ki
ab jo aake tum ne humein jeena sikha liya hain
chalo duniyaa nayi basaayenge

bheegi bheegi palkon par sapne itne sajaaye hain
dil me jitna andhera thha, utne ujaale aaye hain
tum bhi hum ko jagaana na, baahon mein jo so jaayen
jaise khushboo phoolon mein tum mein yun hi kho jaayen
pal bhar kisi janam mein kabhi chhoote naa saath apna
tumhe aise gale lagaayenge
----------------------------------------------------------------------------

The wish of my eager heart is that
I desire for you, I worship you,
Make you my Almighty

In my very lonesome thoughts
Till you had not stepped in
All the joy had belonged to others
And the grief alien
I had hidden from myself
The beats of my heart
I had to live, though
Where was the wish to do so?
Now that you have come,
And taught me to live,
Let's set up a new world

On my moist eyelids
You have bedecked myriads of dreams
In place of what was once darkness in my heart,
So much of light has been ushered in
Don't wake me up,
If I do sleep in your arms
Like the fragrance in the flowers,
Let me be lost in you
Even for a moment, in any birth,
Let's not part
Thus I'll embrace you

No comments:

Post a Comment