Friday, January 28, 2011

मुझे तुम से कुछ


Song: Mujhe tum se kuchh bhi na chaahiye
Movie: Kanhaiya (1959)
Singer: Mukesh
Lyrics: Shailendra
Music: Shankar Jaikishan


Mujhe tum se kuchh bhi na chaahiye
Mujhe mere haal pe chhod do (2),
Mera dil agar koi dil nahi
Use mere saamne tod do (2)

Main yeh bhool jaaoonga zindagi
Kabhi muskuraayi thhi pyaar mein
Main yeh bhool jaaoonga mera dil
Kabhi khil utha thha bahaar mein

Jinhe is jahaan ne bhula diya
Mera naam un mein hi jod do (2)

Tumhein apna kahne ki chaah mein
Kabhi ho sake na kisi ke hum
Yahi dard mere jigar mein hain
Mujhe maar daalega bas yeh gham

Main woh gul hoon jo na khila kabhi
Mujhe na kyun na shaakh se tod do (2)

---------------------------------------------------------
I don't need anything from you
Just leave me to my misery
If my heart's not a heart,
Destroy it before my very eyes

O life, I shall forget that
Some time I had smiled in love
I shall forget, o my heart
That once I had blossomed in spring

As for those who got forgotten by this world
Append my name to that miserable lot

In the desire to call you my own
I could never belong to anybody else
This biting pain stays in my heart
This heartache will end my life

I'm that bud that never bloomed
Why not pluck it off the branch?

बेदर्दी बालमा



Song: Bedardi baalma tujh ko
Movie: Aarzoo (1965)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Hasrat Jaipuri
Music: Shankar Jaikishan


bedardi baalma tujhko mera man yaad kartaa hai
barastaa hai jo aankhon se woh saawan yaad kartaa hai

kabhi hum saath guzare jin sajili rehguzaaro se
fizaa ke bhes mein girte hai ab patte chanaaro se
yeh raahen yaad karti hai yeh gulshan yaad karta hai

koyi jhonkha hawaa ka jab meraa aanchal udaata hai
gumaan hotaa hai jaise tu mera daaman hilaata hai
kabhi chooma tha jo toone woh daaman yaad karta hai

wohi hai jheel ke mandar woh hi kirno ki barsaate
jahaan hum tum kiya karte thhe pehron pyaar ki baatein
tujhe is jheel ka khaamosh darpan yaad kartaa hai
----------------------------------------------------------------------

O heartless beloved, my heart thinks of you
The tears that flow from my eyes brood over you

On the paths that we moved on once upon a time
Maple leaves are falling now, feigning autumn
Those paths remember you, and so does this garden

Whenever a gust of wind makes my clothes flutter
I feel you are shaking the end of my 'dupatta'
The 'dupatta' that you had kissed has memories of you

The celestial tree by the lake is the same, and so are the cascades of rays
Where we used to confabulate about love for long
The silent mirror of this lake  has remembrances of you

Thursday, January 27, 2011

मौसम हे अशीकाना



Song: Mausam hain aashiqana
Movie: Pakeezah (1972)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Kamal Amrohi
Music: Ghulam Mohammed



Mausam Hain Aashiqana
Aye Dil, Kahee Se Unko
Aise Mein Dhoondh Laanaa

Kahna Ke Rut Jawaa Hai,
Aaur Hum Taras Rahe Hain
Kaalee Ghataa Ke Saaye,
Birahan Ko Das Rahe Hain
Dar Hain Naa Maar Daale,
Saawan Ka Kyaa Thikaana

Sooraj Kahi Bhi Jaaye,
Tum Par Naa Dhoop Aaye
Tum Ko Pukaarte Hai,
In Gesuvon Ke Saaye
Aa Jaao Main Bana Doo,
Palakon Kaa Shaamiyaana

Firte Hain Hum Akele,
Baaho Mein Koi Lele
Aakhir Koi Kahan Tak
Tanhayiyon Se Khele
Din Ho Gaye Hain Zaalim
Raaten Hain Katilaanaa

Ye Raat Ye Khaamoshi,
Ye Khwaab Se Nazaare
Jugnoo Hain Yaa Zameen Par,
Uthre Huye Hain Taare
Bekhaab Mere Aankhen,
Madhosh Hain Zamaana
--------------------------------------------------------

The season being alluring
O my heart, in these conditions
Please bring him to me

Tell him the weather is juvenescent
And that I'm yearning
The shadows of dark clouds
Are burying their fangs in me
I fear that might take my life
Who can predict the rains?

The sun might go anywhere
Yet I wish the scorching sunlight doesn't overcome you
Calling out to you is
This shade of my tresses
Come over, let me make
A tent out of my eyelashes

I wander about all alone
Hoping someone would take me in his arms
After all, to what extent will anybody
Flirt with loneliness?
The days have become cruel
And the nights murderous

This night, this silence,
This dream, this sight -
A firefly or a star
That has landed on earth?
Dreamless are my eyes
Intoxicated is this world

कोई हमदम न रहा



Song: Koi humdum na raha
Movie: Jhumroo (1961)
Singer: Kishore Kumar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: Kishore Kumar

koi humdum na raha koi sahaara na raha
hum kisi ke na rahe koi humaara na raha

shaam tanhaai ki hai aayegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhaaye, wohi taara na raha

ay nazaaron na hanso mil na sakoonga tumse
tum mere ho na sake, main tumhaara na raha

kya bataaoon main kahaan yun hi chala jaata hoon
jo mujhe phir se bula le woh ishaara na raha
-----------------------------------------------------------
No soulmate exists anymore, nor does any support
I've ceased to belong to anybody
And none belong with me

In this lonesome evening
How do I attain my destination?
The one star who would show me my path
Is no longer around

O these sights, do not laugh at me
No more any rendezvous with you
You could never be mine
And I 'm no longer yours

I do not know where I am
I just keep on moving
The one who would call me back
Is no longer with me

Tuesday, January 18, 2011

नैना बर से


Song: Naina barse rim jhim rim jhim
Movie: Woh Kaun Thhi (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: Madan Mohan

naina Barse, Rim Jhim Rim Jhim
piya Tore Aawan Ki Aas

woh Din Meri Nigaahon Mein
woh Yaadein Meri Aahon Mein
yeh Dil Ab Tak Bhathakta Hai
teri Ulfat Ki Raahon Mein
sooni Sooni Raahein, Sehmi Sehmi Baahein
aankhon Mein Hain Barson Ki Pyaas

nazar Tujh Bin Machalti Hai
mohabbat Haath Malti Hai
chala Aa Mere Parwane
wafa Ki Shama Jalti Hai
o Mere Hamraahi, Phirti Hoon Ghabrayi
jahan Bhi Hai Aa Jaa Mere Paas

adhoora Hoon Main Afsana
jo Yaad Aaoon Chale Aana
mera Jo Haal Hai Tujh Bin
woh Aakar Dekhte Jaana
bheegi Bheegi Palkein, Chham Chham Aansoo Chhalkein
khoyi Khoyi Aankhen Hain Udaas

Yeh Laakhon Gham Yeh Tanhaayi
mohabbat Ki Yeh Ruswaayi
kati Aisi Kai Raatein
na Tum Aaye Na Maut Aayi
yeh Bindiya Ka Taara, Jaise Ho Angaara
mehndi Mere Haathon Ki Udaas
____________________________________________________

Tears rain from my eyes, drop by drop,
In the craving for your arrival

That day is in my sight
Those memories in my sighs
This heart has been wandering still
In the path of your love
Lonely streets, weakening arms
My eyes are filled with ages of thirst

Without you my gaze wavers
Love looks to have washed its hands off
Come by, my sweetheart,
The lamp of faith is still gleaming
O my soulmate, I wander around apprehensively
Wherever you are, come to me

I'm an incomplete story
When you remember me, come over
The state of me without you
Please appear and see for yourself
My wet eyelashes, tears dropping like pearls
The sadness in my eyes lost in your love

Oodles of sadness, and this loneliness
Together with this disgrace...
I spent a lot of nights like this
Neither you arrived nor death
The star of vermillion seemes like live coals
And the mehndi (mailaanchi) on my hands  is melancholic

हुसूर सी कदर



Song: Huzoor si kadar bhi na itraa ke chaliye
Movie: Masoom (1983)
Singer: Suresh Wadkar, Bhupinder
Lyrics: Gulzar
Music: RD Burman

huzoor is kadar bhi na itraa ke chaliye
khule aam aanchal na lehra ke chaliye

koi manchala gar pakad lega aanchal
zara sochiye aap kya keejiyega
laga de agar badh ke zulfon mein kaliyaan
to kya apni zulfein jhatak deejiyega

badi dilnasheen hai hansi ki ye ladiyaan
ye moti magar yun na bikhraya keeje
uda ke na le jaaye jhonka hawa ka
lachakta badan yun na lehraya keeje

bahut khoobsoorat hai har baat lekin
agar dil bhi hota to kya baat hoti
likhi jaati phir daastan-e-muhabbat
ek afsaane jaise mulakaat hoti
________________________________________

O highness, please don't walk with such an attitude,
Please don't stroll in such a carefree manner

If a teaser grips the corner of your 'dupatta'
Just think what you would do then
If he adorns your hair with flowers
Will you jerk them off your tresses?

How lovely is your laughter
But don't scatter these pearls thoughtlessly
For the wind might take them away with a strong gust
Take care not to sway your sensual body

Everything about you is exquisite, however
Had you a heart, how wonderful it would have been
Then a tale of love would have been written on you
A tale that would have made it a meeting with you

Monday, January 17, 2011

ओ सजना




Song: O sajna barkha bahaar aayee
Movie: Parakh (1960)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Shailendra
Music: Salil Chowdhary


o sajna, barkha bahaar aayee
ras ki phuhaar laayi, aakhiyon men pyaar laayi

tum ko pukaare mere, man ka papeehara
meethi meethi agani me, jale mora jiyara

aise rim-jhim mein o sajan
pyaase pyaase mere nayan,
tere hi khwaab men kho gaye
saanwali saloni ghata, jab jab chhaayi
aakhiyon men raina gayi, nindiya na aayi
-------------------------------------------------------------------------------------



O beloved, the lovely dripping season has arrived
Carrying juicy droplets with it, bringing love into the eyes

Calling out to you the is the cuckoo in my heart
In the sweet flame of passion my body does burn

In this downpour, sweetheart
My thirsty eyes
Have got lost in your thought
Whenever the dark pretty clouds loomed
The darkness of night from my eyes disappeared,
And sleep didn't overcome me

आ लौट के आजा


Song: Aa laut ke aaja mere meet
Movie: Rani Rupmati (1957)
Singer: Mukesh
Lyrics: Bharat Vyas
Music: S.N. Tripathi

Aa Laut Ke Aaja Mere Meet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
Mera Soona Padha Re Sangeet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain

Barse Gagan Mere Barse Nayan
Dekho Tarse Hai Man Ab To Aaja
Sheetal Pavan Yeh Lagaye Agan
O Sajan Ab To Mukhada Dikha Ja
Toone Bhali Re Nibhai Preet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain

Ek Pal Hai Hasna Ek Pal Hai Rona
Kaisa Hai Jeevan Ka Khela
Ek Pal Hai Milna Ek Pal Bichhadna
Duniya Hai Do Din Ka Mela
Yeh Ghadi Na Jaye Beet
Tujhe Mere Geet Bulate Hain
_______________________________________________

Come, return to me, my love,
Calling out to you are my songs
My music is lying deserted
My songs are calling out to you

The sky is raining, so are my eyes,
I'm pining for you, come to me
The cool beeze is making me burn
Darling, please do show your face
Your promises of love you kept very well
My songs are calling out to you

Laughter at one moment, crying at another,
What kind is this game of life?
Meeting at one moment, separation at another,
The world is but a two days' fair
Let this moment not pass
My songs are calling out to you

Sunday, January 16, 2011

यों हज्रतों के दाग




Song: Yun hasraton ke daag
Movie: Adalat (1958)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Rajendra Krishan
Music: Madan Mohan


Yun hasraton ke daag mohabbat mein dho liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Ghar se chale they hum to khushi ki talaash mein
khushi ki talaash mein
Gam raah mein khade they wo hi saath ho liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Murjha chuka hain
Phir bhi yeh dil phool hi to hain
Haan phool hi to hain
Ab aapki khushi se kaaton mein so liye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

Hothon ko si chuke to zamane ne yeh kaha
Zamane ne yeh kaha
Ye chup si kyon lagi hain aji kuchh to boliye
Khud dil se dil ke baat kahi aur ro liye

______________________________

The stains of desires I washed in love
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

I left my abode in my quest for happiness
In my quest for happiness
Found sadness in my path and picked it up
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

My heart has wilted, yet it's a flower
Yet it's a flower
Now it's up to you to see in terms of thorns or flowers
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

When I sealed my lips, the world began to ask
The world began to ask
Why are you so reserved, why don't you say something?
Had a heart-to-heart talk with my heart and cried away

मन रे तू




Song: Man re tu kaahe na dheer dhare
Movie: Chithralekha (1964)
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Roshan


man re tu kaahe na dheer dhare
o nirmohi moh na jaane jinka moh kare

is jeevan ki chadhti dhalti
dhoop ko kiss ne baandha
rang pe kis ne pehre daale
roop ko kis ne baandha
kaahe yeh jatan kare

utna hi upkaar samajh koi
jitna saath nibhaa de
janam maran ka mel hai sapna
yeh sapna bisraa de
koi na sang mare
------------------------------

Dear mind, why don't you assume courage?
Whom you desire is devoid of all emotions, all desires

Who has tied up the rising and receding
Sunlight of life?
Who has placed restraints on colour,
Who has shackled beauty?
Not knowing these why make the effort?

Recognise the favour of one as much as
The person is faithful to you
Dreams are a union of life and death
Hence forget these dreams
For nobody accompanies you in death

Saturday, January 15, 2011

यह कहाँ आ जाए


Song: Yeh kahan aa gaye hum
Movie: Silsila (1981)
Singers: Lata Mangeshkar (monologues by Amitabh Bachchan)
Lyrics: Javed Akhtar
Music: Shiv-Hari (Pandit Shiv Kumar Sharma & Hariprasad Chaurasia)

-AB--
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain
Tum hoti to kaisa hota, tum yeh kehti, tum voh kehti
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to vaisa hota
Main aur meri tanhaai aksar yeh baatein karte hain

--Lata--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Teri baahon mein hai jaanam
Mere jism-o-jaan pighalte
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte

--AB--
Yeh raat hai, yeh tumhaari zulfein khuli hui hai
Hai chaandni ya tumhaari nazrein se meri raatein dhuli hui hai
Yeh chaand hai ya tumhaara kangan
Sitaarein hai ya tumhaara aanchal
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo
Yeh pathiyon ki hai sarsaraahat ke tumne chupke se kuch kaha hai
Yeh sochta hoon main kab se gumsum
Ke jab ki mujhko bhi yeh khabar hai
Ke tum nahin ho, kahin nahin ho
Magar yeh dil hai ke keh raha hai
Ke tum yahin ho, yahin kahin ho

--Lata--
O tu badan hai main hoon chhaaya
Tu na ho to main kahan hoon
Mujhe pyaar karne waale
Tu jahan hai main vahan hoon
Hamein milna hi tha hamdam
Isi raah bhi nikal ke

O meri saans saans mahke
Koi bheena bheena chandan
Tera pyaar chaandni hai
Mera dil hai jaise aangan
Koi aur bhi mulaayam
Meri shaam dhalte dhalte

--AB--
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kis se kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi

--Lata--
Yeh kahan aa gaye hum
Yunhi saath saath chalte
Yeh kahan aa gaye hum
______________________________

AB (monologue)
Me and my loneliness often talk about this
If you were there, how would it have been,
You would say this, you would say that,
You would be surprised at this,
You would giggle so much at that,
If you were present, it would be like this
If you were present, it would be like that
Me and my loneliness often talk about this.....

Lata (song)
Where have we come to
Walking side by side
My life and my heart melt, o darling,
In your loving arms

AB (monologue)
This is the night, your tresses have opened up
Is it the moonlight or your gazes
Which have set up my night?
Is this the moon or your bangle
Are these the stars or your shawl
Is this a whiff of the breeze or
The fragrance of your body?
Is this a rustle of leaves, or
Have you softly said something?
I've been thinking of this silently
That I even know you're not around,
You're not around anywhere
But this heart of mine insists on saying that
You're here, somewhere here

Lata (song)
You're the body, I'm the shadow,
Without you, where would I be?
O the one who loves me,
Wherever you are, I'm there
We had to meet, beloved,
Going by the same path

My breath smells of fresh sandalwood
You love is like the moonlight,
And my heart like a courtyard (that gets the moonlight)
I wish for something mellifluous
As my evening gets to set

AB (monologue)
A forced situation exists here, and there too,
The loneliness of one night is here as well, and there too
I've lots to say, but whom do I tell that?
How long should I be silent, how long should I suffer?
The heart tells me to denounce all customs of this world
To destroy the wall that's between us
To tell the people why the heart burns....
Yes, I'm in love, I'm in love,
The same reflects here, and there as well

ज़रा सी आहत



Song: Zara si aahat hoti hain
Movie: Haqeeqat (1964)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Kaifi Azmi
Music: Madan Mohan


zara si aahat hoti hai to dil sochta hai
kahin yeh woh to nahin (3)

chhup ke seene mein,
chhup ke seene mein koi jaise sada deta hai
shaam se pehle diya dil ka jala deta hai
hai usi ki yeh sada, hai usi ki yeh adaa
kahin yeh woh to nahin (3)

shakl phirti hai,
shakl phirti hai nigahon mein wohi pyaari si
meri nas nas mein machalne lagi chingari si
chhoo gayi jism mera, kiske daaman ki hawa
kahin yeh woh to nahin (3)
------------------------------------------------

Whenever there's a slight sound,
My heart is given to think
Couldn't this be him?

Like someone hidden places a tone in the bosom
Lights up the lamp of the heart before dusk
This tone is his, this attribute is his,
Couldn't this be him?

His face wanders in my sight lovingly
And has begun to excite in my every vein like sparks
The breeze that touched my body, whom did it come from?
Couldn't this be him?

Thursday, January 13, 2011

तेरे बिना ज़िन्दगी से कोई




Song: Tere bina zindagi se koi
Movie: Aandhi (1975)
Singers: Lata Mangeshkar & Kishore Kumar
Lyrics: Gulzar
Music: RD Burman


Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
Shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
Zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Kaash aisa ho tere kadmon se,
Chun ke manzil chale
Aur kahi door kahi
Tum gar saath ho, manzilon ki kami to nahi

Jee mein aata hain, tere daaman mein,
Sar jhuka ke hum
Rote rahe, rote rahe
Teri bhi aankho mein, aansuon ki nami to nahi

Tum jo kah do to aaj ki raat,
Chaand doobega nahi,
Raat ko rok lo
Raat ki baat hain, aur zindagi baaki to nahi
------------------------------

Without you I haven't any complaints against life
However sans you, life is just not a life...

If only I could, from your feet
Choose my destination and go
Somewhere else, somewhere far away...
If you be with me, there'll be no dearth of havens

I feel like, in your lap
Lower my head and
Keep on crying
Even in your eyes, there are no traces of tears

If you say so, tonight
The moon will not set
And the night will linger
It's just about the night, and not of the little life left

Wednesday, January 12, 2011

फिर वोही शाम




Song: Phir wohi shaam wohi gham
Movie: Jahan aara (1964)
Singer: Talat Mehmood
Lyrics: Rajendra Krishan
Music: Madan Mohan


phir wohi shaam wohi gham
wohi tanhaayi hain
dil ko samjhaane
teri yaad chali aayi hain

phir tasavvur tere
pehloo mein bitha jaayega
phir gaya waqt
ghadi bhar ko palat aayega
dil behal jaayega
aakhir ko to saudaayi hain

jaane ab tujh se
mulakaat kabhi ho ke na ho
jo adhoori rahi wo baat
kabhi ho ke na ho
meri manzil teri manzil se
bichhad aayi hain
---------------------------------------------------------

Again the same evening, same gloom,
Same solitude..
Memories of you have come in
To make my heart understand

Once more I shall place your thoughts
By my side
As for the time gone past
I shall rewind the clock
The heart will be consoled
After all I'm insane

No idea whether I can ever
Meet you again
Whether the incomplete talks we had
Will happen again
My destination has got severed
From yours

Tuesday, January 11, 2011

यह श्याम की तन्हाईयां





Song: Yeh shaam ki tanhaiyan
Movie: Aah (1953)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Shailendra
Music: Shankar Jaikishan


yeh shaam ki tanhaiyan, aise main tera gham (2)
patte kahin khadke hawa, aayi to chaunke ham (2)
yeh shaam ki tanhaiyan, aise main tera gham

jis raah se tum aane ko the (2)
uske nishaan bhi mitne lage (2)
aaye na tum sau sau dafa, aaye gaye mausam (2)

seene se laga teri yaad ko (2)
roti rahi main raat ko (2)
haalat pe meri chaand taare ro gaye shabnam
-----------------------------------------------------

In the loneliness of this evening, amidst those sad thoughts of you
The wind brought the rustling of leaves, startling me

The path by which you were to come,
Has had its traces getting erased
While you never arrived a hundred times, the seasons came and went

Holding thoughts of you close to my bosom
I kept on weeping all night
The moon and stars rained tears of dew over my state

Monday, January 10, 2011

माई ऋ मैं का से कहू






Song: Maai ri main ka se kahoo
Movie: Dastak (1970)
Singer: : Lata Mangeshkar
Lyrics: Majrooh Sultanpuri
Music: Madan Mohan



maai ri main kaa se kahoo peer apne jiya ki
maai ri....

os nayan ki unke meri lagi ko bujhaaye naa
tan-man bheego de aake aisi ghata koi chhaaye naa
mohe bahaa le jaaye aisi lahar koi aaye naa
padi nadiya ke kinaare main pyaasi

pee ki dagar mein baithe maila huwa ri mera aanchara
mukhada hai fikaa fikaa, nainon mein sohe nahin kaajaraa
koi jo dekhe maiyaa, preet ka vaase kahun maajaraa
lat mein padi kaisi birhaa ki maati

aankhon mein chalte firte, roj mile piya baawre
baiyaa ki chhaiyaa aake milte nahin kabhi saanware
dukh ye milan ka le er kaah kaaroon,kahan jaaoon re
paa kar bhi, nahin un ko mein paati

--------------------------------------------------------

Oh mother, how could I tell you
The pain in my heart

What I see of him in my eyes is not fulfilling my craving
The cloud that would soak my body and heart never materialises
The wave that would make me flow in ecstasy never occurs
I'm left thirsty at the shore of the river

By waiting in his path, the corner of my scarf has become stained
Faint is my face, the kohl a misfit in my eyes
If someone sees me mother, how do I talk about love?
And how the mud of separation has fallen over my tresses?

By wandering into my eyes, my darling meets me daily
But he seldom meets me by coming into my arms
What do I do with the grief of such a meeting, where do I go?
Even after acquiring him, I feel I don't possess hm

Sunday, January 9, 2011

नैनों में भद्रा जाए








Song: Nainon mein badra chhaaye
Movie: Mera saaya (1966)
Singer: Lata Mangeshkar
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan
Music: Madan Mohan


Nainon mein badra chhaaye bijli si chamke haaye
Aise mein balam mohe garwaa laga le

Madira mein doobi ankhiyaan, chanchal hain donom sakhiyaan
Jharthi rahenge thohe, palkon ki pyaari bathiyaan
Sharmaa ke denge thohe madira ke pyaale

Prem deewaani hun main, sapnon ki raani hun main
Pichle janam se theri prem kahaani hun mem
Aa is janam main bhi tu apna bana le

-----------------------------------------------

As the rain clouds fill my eyes
And the lightning flashes
Darling, please hold me close to you

My eyes, heavily immersed in wine
Both of them rather naughty
They'll keep fanning you
With the fans of their eyelashes
Shyly they will offer you
Cups of intoxicating wine

Mad with love am I,
Queen of dreams am I
Since the previous birth
I've been your love story
Come, make me yours
In this birth as well

करोगे याद तो



Song: Karoge yaad to
Movie: Baazar (1982)
Songer: Bhupinder
Lyricist: Bashar Nawaz
Music: Khayyam



Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Guzarte Waqt Ki Har Mauj Thehar Jayegi

Yeh Chand Beete Zamanon Ka Aaina Hoga
Bhatakte Abr Mein Chehra Koi Bana Hoga
Udaas Raah Koi Dastaan Sunayegi

Barasta Bheegta Mausam Dhuan - Dhuan Hoga
Pighalti Shammon Pe Dil Ka Mere Guma Hoga
Hatheliyon Ki Heena Yaad Kuchh Dilayegi

Gali Ke Modh Pe Soona Sa Koi Darwaaza
Tarasti Aankhon Se Rasta Kisika Dekhega
Nigaah Door Talak Jaake Laut Aayegi

______________________________

If you try to remember, every thought will come to you
Every ecstasy of the passing time will come to a standstill

This moon will be the mirror of the bygone days
In the wandering clouds it would have assumed some face
The depressed path will relate some story

The pouring wet weather will turn into smoke
On melting flames shall rest the doubts of my heart
The patterns on the palms of her hands will bring in some memories

At the corner of the lane stands some desolate door
With craving eyes it will gaze at somebody's path
The gaze will go to the limit and then will return